Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Counterattack Line Candlestick Pattern
Bearish counterattack candlestick pattern se traders is se sell trade ki inverse direction me movement ka ishara lete hen. Ye pattren bohut hi ziada bante hen aur is ko sahi mano me samajhne ki bohut hi ziada zarorat hai. Bearish counterattack line pattern hamen strongly ishara deti hai k ab se trend downtrend k leye inverse hoga. Aam tawar par ye pattren do dino k darmeyane hese me ziada bante hen jab market ki movement normal up down ho rahi hoti hai. Pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, bullish candle aik normal real body wali white candle hoti hai. Bullish candle k baad aik bearish candle prices k top par gap main open ho kar ussi k same closing price par close hoti hai.
Candles Formation
Bearish counterattack line pattern pehli din ki candle aik bullish candle hoti hai, lekin dosre din ki candle bearish candle k close prices par hone ki bajaye top gap main open ho kar ussi k same closing price par close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai:
1. First Candle: Bearish counterattack line candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo prices k top par ya bullish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai. Ye candle white ya green color ki candle hoti hai.
2. Second Candle: Bearish counterattack line candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k top par gap main hoti hai, jab k close pehli candle k close price k line main hoti hai. Bearish candle black ya red color main hoti hai, jo k prices ko mazeed bullish bhi jane se rokti hai aur trend reversal ka sabab bhi banti hai.
Explanation
Bearish counterattack line candlestick pattern prices main aksar do dino k darmeyan main banta hai, jiss se market ki downtrend jane ka ishara melta hai. Pattern ki pehli candle k baad dosri candle ussi k closing price par open hone ki bajaye top gap main open ho kar same close price par close hoti hai. Normal ye pattern ziada tadad main bante hen, lekin top prices ya bullish trend main banne par ye prices ko bearish trend reversal main badale par majbor karti hai. Pattern ki pehli candle bullish aur dosri bearish candle hoti hai, jiss ki lazmi real body honi chaheye, jab k dono candles shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern main dono candles aik dosre k opposite direction main open ho kar same aik hi line main meet karte howe close hote hen.
Trading
Bearish counterattack line candlestick pattern prices main traders k leye bearish trend ki indication deta hai, jiss par sell ki entry ki jati hai. Pattern k baad aik confirmation candle ka hona zarori hai. Ye candle real body main bearish honi chaheye, jo k dosri candle k bottom main ban jati hai. Pattern k baad bullish candle banne se pattern trading invalid ho jayega, jab k CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main honi chaheye. Pattern ziada reliable na hone ki waja se stop loss ka istemal zarrori hai. Pattern ka Stop Loss dosri candle k top ya open price se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим