Assalamu Alaikum Dosto!
Morning Star Candlestick Pattern
Morning Star Candlestick Pattern aik teez bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k bottom main payya jatta hai. Ye pattern us waqat ziadda reliable hotta hai, jab bhi prices bohut ziadda low area main trade karr rahi ho. Morning Star pattern three candles par mushtamil hota hai, aur aam tawar par ye pattern bearish trend k baad banne ki wajja se pattern ki pehlee candle aik strong bearish candle hotti hai, jis k baad aik small real bdoy wali bullish / bearish candle hotti hai, jo k bearish trend k is position par rook letti hai. Pattern k last par aik bullush candle bantti hai, jo k trend reversal ka kaam kartti hai.
Candles Formation
Morning star pattern main pehli candle pehle se a rahe trend yani bearish candle hotti hai, jis ko aik small real body wali candle follow kartti hai, jab k last wali candle aik bullish candle hotti hai, jis ki tafseel darjazzel hai;
1. First Candle: Morning Star Candlestick Pattern ki pehlee candle aik strong bearish candle hotti hai, q k qeematen pehle se hi bearish trend main harkat kar rahee hotti hai, is waja se is candle ka bearish hona zarorri hai. Pehlee candle aik strong aur long bearish trend candle hotti hai, jis ka upper aur lower wick bohut chotta hotta hai.
2. Second Candle: Morning Star Candlestick Pattern main dosree candle aik small real body wali candle hotti hai, ziadda tar ye candle Spinning top candle ya isi tarah se dosree candle hotti hai. Candle ka color zarorri nahi hai, lekin is ki position bohut ziadda aham hai, q k ye pehlee candle se down side par gap main open aur close hotti hai. Dosree candle pehlee candle k shadow ko bhi touch nahi kartti hai. Ye candle bullush aur bearish dono tarah se ho saktti hai.
3. Third Candle: Morning Star Candlestick Pattern ki teessri candle aik strong bullish candle hotti hai, jo k trend reversal ka kaam kartti hai. Ye candle bhi dosree candle se gap main up side par open ho kar higher par ja kar close hotti hai. Teesrri candle pehlee candle k real body k 50% se ziadda par close honi chaheye.
Explanation
Morning star pattern bearish trend main banne wala bullishvtrend reversal pattern hai, jo k teen mukhtalif candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehlee candle aik strong aur long real body wali bearish candle hotti hai, jo k bearish trend ki alammat hotti hai. Pattern ki dosree candle aik small real body wali candle hotti hai, jo k open aur close pehlee candle k lower par gap main hotti hai. Dosree candle pehlee candle k shadow ko bhi nahi touch karti hai. Pattern ki teesree candle aik strong aur long real body wali bullish candle hotti hai, jo k dosree candle se upper gap main open hotti hai aur pehle candle k centre point k 50% main close hotti hai.
Trading
Morning star pattern par trading k leyw zarorri hai, k prices ka trade area observe kia jaye, jo k bearish ya downtrend main honni chaheye. Dosra aggar morning star pattern normal bearish trend main bantta hai to iss k leye dosre candles ki help zarror len, ya price action ki madad bhi trading main li ja saktti hai.
Pattern par trade open karrne se pehle bullish trend confirmation candle ka hona zarorri hai, jo k teesree candle k baad bantti bai, aur ye market main buy ki entry ki position bhi hotti hai. Stop Loss k leye pattern ka sab se lower area, ya dosree candle k down side ko select karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим