Assalamu Alaikum Dosto!
Pin Bar
Asal Pin bar bazzat-e-khud ek long upper ya lower "shadow" "tail" "wick" ya "dum" aur bohut small "body" ya "real body" k sath ek bar hai, jo umomman bohut ziadda high price ya bohut low price main ban jatti hai. Pin bar ki tashkeel eik price action reversal pattern hai, jo zahir kartta hai, k market main aik khas sattah ya qeemat point ko mustarrad kar deyya gaya hai. Pin bar k banne se waqif honne k baad, ye kisi bhi qeemat ko chart k dekhne se zahir hotta hai, k ye pattern kitnna munafa-bakhash ho saktta hai.
Candle Formation
Pin bar candle ziadda tar news ya kisi events ki wajja se bannti hai, is waja se is pin bar candle bullish trend yanni top of the price ya bearish trend yanni lower of the price main bhi bann saktti hai. Bullish aur bearish pin bar ki taffseel darjazzel hai;
Bullish Reversal Pin Bar candle bearish prices ya downtrend main bantti, jahan se prices bullish trend reversal main badal jatti hai. Bullish reversal pin bar main candle ki aik long tail downward side par bantti hai, jo k maojoodda qeemat k ley support ka kaam bhi kartti hai aur lower prices rejection ka kaam bhi kartti hai. Yahan se qeematten ziadda tar upward jatti hai.
Bearish Reversal Pin Bar candle prices muntakhib karrda timeframes main upward side par aik long tail banatti hai. Ye pin bar prices ka mazzeed bullish movement ko reject kartti hai aur qeematon k leye yahan par aik resistance position bhi bantta hai. Prices yahann se bearish trend reversal main baddal jatti hai.
Explaination
Pin bar upper ya lower side par banne wali ek long tail candle hotti hai, aur is tail ko "wick" ya "shadow" bhi kaha jata hai, In sab ka matlab aik hi hotta hai. Ye pin bar ka aik nukdaar hisa hotta hai, jo aik tail ki tarah dekhaye detta hai, jo k false breakout ya rejection k bare main batatti hai.
Pin bar k open aur close k darmeyan hessey ko "body" ya "real body" kaha jata hai. Jab bhi open close se ziadda hotta hai to ye black ya red color main bantta hai, jab k close ka open se ziadda hone ki sorrat memain ye white ya green color ka hotta hai. Pin bar ka open aur close aik dosre k barabbar (aik hi price hona chaheye) hona chaheye, ya aggar jittna ye aik dosre k qareeb hongay utna behttar hogga. Pin bar main open aur close agar aik sere k bohut qarreeb honne chaheye, aggar ye bulkul aik side k end pe hongay to uttna hi behttar hogga.
Pin bar candle ki tail ya shadow dosre candle se bahar honi chaheye, jitnna ye ziadda ya long hogi utnni hi ye behtar hai, lekin kam az kam apne aas pass k candles se ziadda hona chaheye.
Pin bar candle ka aik aam rule ye hai k is candle ki tail ya shadow candle k "two third" hona chaheye, ya kam az kam real body k muqabele main tail double honni chaheye. Shadow k opposite side pe aggar candle ki koi chotti si wick ya shadow bannti hai to uss ko "nose" kaha jata hai.
Trading
Pin bar support aur resistance confirmation k sath forex trading k moasar strategy main se aik hai, lekin aggar trading k leye dosra koi achah technique na ho. Pin bar technical tools main price action k leye sab se ziadda istemal honne wale tools main se aik hai. Ye ziadda tar support aur resistance levels par bantte hen. Aggar pin bar ko mazzbot support aur resistance levels k sath melaya jatta hai, to ye aik behtareen aur accurate trading signal detta hai.
Pin bar candle par market entry bhi ki ja saktti hai aur pending orders bhi set keye ja saktte hen. Bullish pin baar pe market me entry k leye pin bar k baad wali candle par buy ki entry set karen, aur stop loss pin bar candle k lower side par set karen. Bearish oin bar par entry k leye pin bar k baad banne walee candle par sell ki entry laggayen aur Stop Loss pin bar k wick k top par set karen. Aggar pin ki wick bohut ziadda long ho to us sorrat main stop loss midpoint ya mazzbot support / resistance levels pe set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим