dear members and Good Morning!
Dear Pakistan's Forex forum and senior members Umeed kerta hun ke aap sab khairyat se honge or Forex market se
acha profit earn ker rahe honge . Dear members jessa ke hum jante hain ke forex trading mein different types ke indicators
use hote hain jinki help se hum trading ker rahe hote hain, unhin indicators mein se aaj mein aapke sath OSMA indicators
ko share kerne laga hun Koshish karun ga ke aap ko boht ache se samajh aa jaye or agar aap ko ismein koi mistake ya anpna
koi opinion dena chahein to comment mein zaroor bata dijye ga take mein next post mein in ko dubara repeat na karun.
OSMA INDICATORS
OSMA buniyadi tor par ek oscillator or moving average ke oscillator ka combination hai. Is indicator
ko dusre indicator MACD ke data ki buniyad per design kiya gaya tha. Tahum is mein or MACD indicator mein bohut different
dikhaya gaya hai.
Aaj hum OSMA indicator ki importance or trading mein iski entry ke signals ko use kerne ka method daryaft kareinge.
OSMA indicator ko hum mt4 or mt5 ke standard indicators mein search ker sakte hain. OSMA pichle reversal signals ko show
kerta hai jis se traders ko market ki changes parhne mein madad milti hai.
OSMA ek Forex indicator hai jisse hum "insert" manu se dhoond sakte hain phir indicators ki taraf barhein ge jahan oscillator
moving average of oscillator hoga. OSMA indicator price chart ke neeche alag window mein dikhaya gaya hai. Ise bar chart
ke tor per dikhaya gaya hai.
OSMA Trading Signals
Dear Members aaeye OSMA indicator se paida hone wale 2 main signals ke bare mein baat kerte hain....
Crossing the zero level
OSMA ka main axix 0 level hai. Ager histogram ke zarye level niche cross ker jata hai to market ki growth us waqt active
hogi or ager bar zero level se thora uper move kerti hai tab hum buy ki entry le sakte us se thora niche stop loss laga ker.
Iske saath hi ager level histogram ke zariye zero se niche move kerta hai to ye market ki growth hogi or us waqt hum sell
ki entry le sakte hain us se thora uper stop loss laga kar. Signals ko ziada reliable banane ke liye mein aapko technical
analysis kerne ki tajweez karunga. jess ke hum niche chart mein dekh sakte hain.OSMA and Price Chart
Ek divergence jo form ko buy kerne ka signal deti hai jab price pichle ek ke niche agali kami ko zahir kerti hai jabke
OSMA histogram ki price pichle se uper nikalti hai ye signal bears ki weakness ko zahir karti hai or bulls ko wapas fight kerne
ki ijazat deti hai jab price chart uper ki taraf move karna shuru ker de to buy ki entry le lein us se thora niche stop loss
laga lein.
Ek divergence sell ki entry ko recommend kerta hai jab price chart pichle se agli ek nayi high movement create kerta hai
jab ke OSMA histogram pichle ek se ziada kam move hone wale candle ko zahir kerta hai. iska matlab bulls apni power
loss ker rahe hain is liye bears price ko niche reverse kerne ki koshish ker sakte hain jab price kam hogi tab hum sell ki
entry le sakte hain us se thora uper stop loss laga ker jessa ke hum is chart mein dekh sakte hain....
OSMA market mein boht achi tarah farq show kerta hai or dusre MACD ki nisbat thora pehle signal deta hai, lekin ye
universal trading system to nahi hai to is se behter ye hai ke is ke saath wale indicators ki help li jaye or technical analysis
ki jaye market ke trend ko behter samajhne ke liye...
Umeed kerta hun aapko meri ye post pasand aayi hogi next post tak ke liye Allah Hafiz!