Bollinger Bands indicator par aikk tafseeli note
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bollinger Bands indicator par aikk tafseeli note
    Bollinger Band Indicator



    Bollinger band indicator porane moving average envelope jaisa aik indicator hai jis ko John A. Bollinger ne banaya hai. Moving average envelope k bar-aks "resistance" line ko moving average k uper ko kuch maqarara percentage aur dosri "support" line moving average k nechay usi muqarara percentage par lagane ki bajaye, Bollinger band aik resistance line ko do standard deviations k uper aur aik support line ko do standard deviations k nechay 20-days moving averages per plot karta hai.
    Bollinger band indicator ko kisi bhi timeframe me adjust kia ja sakta hai, matlab ye har aik timeframe pe istemal hone wala indicator hai. Bollinger band indicator ko market me bari movements par fory (quickly) rade-amal zahir karne k leye design kia gaya hai, aur ye zahir karne k leye k aya qeematen aam tejarati hodod k muqabele me ziada hen ya kam hen. Bollinger band price action ki tasdeeq k leye apne bands ko dosre indicators k sath istemal karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1199).png
Views:	9
Size:	35.1 کلوبائٹ
ID:	12508463

    Bollinger Band Indicator ka Mid-term Trading me Istemal


    Bollinger band indicator darmeyane darje k trend k leye 20-days simple moving average ko plus minus do (two) standard deviations k sath tajwez karta hai. Bollinger band ka 20-days simple moving average sab se ziada istemal hone wala aur by-default setting bhi ban gaye hai.


    Bollinger Band Indicator ka Short-term Trading me Istemal

    Short term trend analysis k leye Bollinger band indicator 10-days simple moving average k sath 1.5 standard deviations tajwez karta hai.

    Bollinger Band Indicator ka Long-term Trading me Istemal


    Long term trend k leye Bollinger band indicator 50-days simple moving average k sath 2.5 standard deviations tajwez karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (347).jpeg
Views:	1
Size:	42.9 کلوبائٹ
ID:	12508464

    Bollinger Band Indicator ka Kaam


    Bollinger band indicator moving average ki lambaye (length) ko muntakhib karda timeframe k mutabiq dekhta hai, aur ye crossover k khareed-wa-ferokht me istemal hone wale sab se mufeed moving averages k length se mukhtalif hoti hen. Is k elawa Bollinger band indicator ye bhi tajweez karta hai k moving average ki munasib lambaye ki nishan-dahi karne ka aik tareeqa ye hai k aik aisa intekhab kia jaye jo nechay se uper ki taraf pehli movement ko darust karne k leye moqa faraham kare.
    Bollinger band indicator kabhi bhi apne users yani traders ko ye nahi kehta k crossover pe market me buy ya sell ki entry karen. Bollinger band indicator aik fram work faraham karne k leye bands ka dosre indicators, oscillators, money flow ya price actions k sath istemal karke achah result le sakte hen. For example agar qeematen indicator k upper line ko touch karte hen, aur dosre indicator bhi sell k signal de raha ho to us sorat me ye aik strong qisam ka sell signal hoga, lekin agar dosra indicator isbk sath rabat nahi rakhta to us sorat me trade enter karne se ijtenab karna chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (348).jpeg
Views:	4
Size:	29.7 کلوبائٹ
ID:	12508462

اب آن لائن

Working...
X