Assalamu Alaikum Dosto!
Morning Star Candlestick Pattern
Morning star candlestick pattern main prices sellers ki pressure ki waja se bullish trend reversal main tabdeel hoti hai. Pattern teens candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo prices k downtrend ka ishara deti hai. Pattern ki dosri candle aik Spinning top candle jo aik small real body wali candle hoti hai, jo pehli candle se below gap main banti hai. Pattern ki teesri candle jo k trend reversal ka bhi kaam karti hai, aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k dosri spinning top candle se above gap main open ho kar high par ja kar close hoti hai. Candles k darmeyan banne wale gap ko candles ki real body ya shadow cover bhi nahi karti aur nahi uss ka koi hisa uss main ata hai.
Candles Formation
Morning star candlestick pattern ka shumar bhi bullish trend reversal pattern main hota hai, jo k prices k bottom ya bearish trend k baad banta hai. Morning star candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Morning star candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bearish trend ki alamat hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jiss real body shadow ki nisbat ziada hoti hai.
2. Second Candle: Morning star candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali candle hoti hai, jo ziada tar Spinning top candle hoti hai. Ye candle small real body k sath small upper aur lower shadow k sath hoti hai. Ye candle bullish ya bearish dono tarah se ho sakti hai.
3. Third Candle: Morning star candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle banti hai, jo k sabeqa trend ka khatema karke new bullish trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle strong bullish candle hoti hai, jiss ka upper ya lower side par small wick ho sakti hai, lekin ye Spinning top candle se above side par gap main banna chaheye.
Explaination
Morning star candlestick pattern k pattern same to same dekhne main "Bullish Abandoned Baby Candlestick Pattern" jaisa hi hai, lekin iss pattern main Spinning top candle dono candles se below gap main banti hai. Morning star candlestick pattern low prices main bullish trend reversal ka sabab banti hai, jo k teen candles par mushtamil pattern hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss k bad aik small real body wali candle below gap main banti hai aur last par aik bullish candle hoti hai jo k doji candle se below gap main banti hai. Dosree small candle ziada tar Spinning top candle hoti hai, jo bullish aur bearish dono tarah ki hososeyat rakhti hai, lekin yahan par iss ki hasseyat bullish candle ki hoti hai.
Trading

Morning star candlestick pattern bottom trend ya bearish trend k baad market main buyers k leye market main buy signals ki opportunity muhaya karta hai. Ye pattern low prices area main banne ki waja se prices ko upnward push karta hai. Morning star candlestick pattern par entry se pehle pattern k baad aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k teesri bullish candle k baad aik real body ki candle honi chaheye. Pattern par trading k dawran stop loss ka istemal zaror hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se lowest position ya Spinning top candle k bottom se two pips below position karwaden.