What us Pending Orders & How to apply it on Metatrader 4.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What us Pending Orders & How to apply it on Metatrader 4.
    Forex trading market mein aap order ko two major types mein convert kar sakte hain jo respectively pending order aur instant order ka name se jante hain.



    Explanation of Pending Order:



    Forex ke market ke khosoorti yah hai ki aap agar kisi price per order lagana chahe lekin market abhi tak us price per pahunchi na ho to aap pending order ka option use kar ke apna order place kar sakte hain. Is order ka fayda yah hota hai ki agar aap order laga den aur aap market ko dekh nai bhi rahe tu jab market us price per paunchti hai to khud ba khud order market mein execute ho jata hai.


    Types of pending Order:


    Buy Stop
    Sell Stop
    Buy Limit
    Sell Limit








    Buy Stop:


    Jab market buy ki taraf move kar rahi ho aur aap chahte ho ki prices resistance ko cross kar k up jaaye aur mera order place ho jaaye to aap buy stop ka istemal karte hain.


    Sell Stop:


    Jis tarah buy stop ka pending order aap use karte hain isi tarah sell stop ko use karne ke liye aapka order jab market kise aik level yah price se down aati hai to aapka sell stop ka order execute ho jata hai. Pending orders ka sahi istemal aap us waqt ka sakte hain jab aap technical analysis mein acchi maharat rakhte hon. Aur en orders ke aap take profit aur stop loss bhi pahle se set kar sakte hain.


    Buy Limit:


    Agar aap market mein buy ki entry lena chahte hain aur market mein price high chal rahi ho to aap niche se apna price fix karke trade open ka sakte hain is tarah se jab market aapke enter price per paunche gee tu aapki trade auto open ho jayegi.


    Sell Limit:


    Jab market ki price down chal rahi ho aur aap ne kisi high price sell ka order lagana ho to aap sell limit ka order laga sakte hain. Aur jab market us price per paunche gi to aapka order market mein place ho jata hai.

اب آن لائن

Working...
X