ZigZag Indicators Movement and Analysis

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    ZigZag Indicators Movement and Analysis
    Dear forex Froends,

    Assalamualaikum,

    Umid krta hain sub khairiyat sy hn gy or mahnat say apna work krrhy hn gy hmy kamyabi Hasil krny k ly mahnt sy kam krna hota h or hmy chye apna knowledge ko increase kry jitna zeda knowledge ho ga itna hi hm kamyab ho skty hai hmy weekly bounce k ly hmy achi post share krni chaye jitni achi post ho gi itna hi hmra knowledge gain ho ga chltu h aj k topic ki trf


    Zigzag Trend Trading:

    Friends, Jab bhi prices pehlay say select ki hui variables say kam ya ziada hoti hain to zig zag indicator chart par un kay points bnata ha, jin ko straight lines say join kia jata hay, ye indicator prices kay trends ko bhi identify karnay main boht support karta ha, ya prices ki fluctuation aur trend changes ko show karnay kay rujhan ma changings ko khatam karta ha, zig zag lines us waqt appear hoti hain jab price ki moment swing high aur swing low kay darmian hoti hay jo aik fixed percentage sa ziada ho, ye indicator aksar 5% ki minor price moment ko clear kar kay trend ko tamam time formats ma samajhnay kay liay easy bnata hai.


    Reading the Zigzag Indicators:

    Zigzag indicator ki reading bahut easy and simplified hay. Yeh indicator hamain trend ki direction batata hay. Ager yeh lower left say right side per up ja raha ho to yeh price rising ka batata hay aur trend kay up rehny ka signal day raha hota hay. Aur ager yeh upper left say lower right ki taraf show ho raha ho to yeh price kay nichy any ka aur trend kay bearish rehny ka signal day raha hota hay. Is say hamain na sirf general signals milty hain balkeh overall market states ka bhi pata chal jata hay. Ab ham sirf in signals ki base per bhi trade nai kar sakty, laikin yeh indicator hamain market ki direction ka aik overall idea day daita hay jis say ham mazeed hikmat-e-amli apnaty hain.

    Click image for larger version

Name:	images (2).png
Views:	1
Size:	8.3 کلوبائٹ
ID:	12503571

    Analysis Of Zigzag indicators:

    Dear Friends Zig zag indicator simple indicator hai jis waja say yeh hamain trend ki direction kay elawah baqi kisi factor kay bary main nai batata. Es liye yeh hamesha alone use nai kia ja sakta balky esko kisi aur technical indicators ya tool kay sath mela kar use kia jata hai. Yeh longer time frame main best kam karta hai jab kay yeh sideway ya choppy market mai less work karta hai. But eska ik or benefit yeh hai kay ye adjustable and customizeable hai jis waja say traders esko like karty hain aur apny hisab say esko edit kar latyn hain. Traders es indicator say sirf trend ki direction ka pata chala kar rectify kartyn hain aur baqi indicators kay sath market kay volume, momentum or strength ko find out kar latay hain.

اب آن لائن

Working...
X