Market Facilitation index ki info aur iska forex trading main istemal.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Market Facilitation index ki info aur iska forex trading main istemal.
    Market facilitation index.
    Friends jis tarah forex marekt main jidat ati jati hay isi tarah is main trading karna kafi mushkil hota ja raha hay. Laikin experts nay kai indicators kay use say hamary liye firex trading ko ager rasy nai banaya to kam day kam mumkin zaroor bana dia hay. Market facilitation index aik aisa indicator hay jo kisi bhi pair ki price ki strength ya weakness ka batata hay.

    Role of Market Facilitation Index.
    Market facilitation index hamari kai tariqon say rahnumai karta hay. Ye hamain batata hay keh market price ki kis strenth per hamain trading karni chahiye, kahan hamain trading say avoid karna chahiye, kis time hamain trade start karni aur kab hamain trade say exit hona chahiye.

    Click image for larger version

Name:	images(1).jpg
Views:	2
Size:	10.2 کلوبائٹ
ID:	12488277

    Click image for larger version

Name:	images(3)_1.jpg
Views:	1
Size:	37.8 کلوبائٹ
ID:	12488278

    How to read MFI.
    MFI ko ham different colours ki lines say read karty hain. Green line hamain batati hay keh price up ja rahi hay air volume bhi uper hay. Yani price musalsal higher he ja rahi hay. Brown bar hamain batati hay keh traders ka interst kam ho raha hay aur price ka momentum bhi khatam ho raha hay. Aur yahan hamain reversal ka signal mil raha hota hay. Blue bar aik fake signalling bar kehlati hay. Agarcheh is main price barh rahi hoti hay laikin volume kam hota hay. Yahan per market undecided situation main hoti hay is liye yahan market main enter nai hona chahiye. Pink bar say hamain buyers and sellers ki fight nazar a rahi hoti hay q keh yahan price musalsal up and down ho rahi hoti hay, yehi waja hay keh volume up rehta hay.

    Suitability of MFI.
    MFI har qisam ki market situation main helpful hota hay. Is liye keh yeh hamain market ki tamam tar situations kay bary main agahi daita hay. Short term traders kay liye ye aik best indicator hay. Laikin is main bhi hamain scalping say avoid karna chahiye.

اب آن لائن

Working...
X