Discussion about " MARKET SAWOON "

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Discussion about " MARKET SAWOON "
    INTRODUCTION

    Dear friends Forex market mein kisi big event ya political aur economic condition ki wajah sy prices ki overall value sudden aur dramatic drop kar jati hain iss state ko market swoon kehty hain market swoon kisi aik pair ya commodity k bary mein information ni deta blky ye over all market k behaviour ko show karta hai iss ka matlab ye hai k jb market swoon occur karta hai tou aik pair ya commodity nahi balky is mein pori market fall kar jati hai.

    Click image for larger version

Name:	reit-image.jpg
Views:	1
Size:	47.9 کلوبائٹ
ID:	12483930

    INFORMATION RELATED TO MARKET SWOON

    Dear members Forex market mein swoon kisi small news ki wajah sy occur ni karta iss k liye koi sa bhi big event chahiye hota hai swoon market tab occur hoti hai jab kisi big event sy trader nervous ho jaty hain aur market mein develop negative sentiments develop ho jata hai forex trading mein market tab tak market swoon state mein rehti hai jb tak trader ka confidence bahaal ho jata hai.

    Click image for larger version

Name:	FOREX-580-1.jpg
Views:	2
Size:	36.9 کلوبائٹ
ID:	12483931

    REASON

    Market swoon aksar us waqat hota hai jab market mein bohat ziada interruption paida hoti hai aur is mein market k value mein bohat ziada changes paida hotin hain aur sometimes ye masla us waqat ata hai jab koi political ya economy tabdeeli paida hoti hai baaz okat jab mulk mein achanak se koi masla paida hota hai is wajah se sarmayakar apna sarmaya ya tou rakh lety hain aur market mein jaldi jaldi bhej dety hain jis se qeematein achanak se gir jatin hai aksar awqaat ye masla hamary mulk mein india se border pe koi bara masla paish ajaye tou hamara stock exchange gir jata hai.

    Click image for larger version

Name:	gettyimages-1170130374-612x612.jpg
Views:	1
Size:	40.7 کلوبائٹ
ID:	12483932

    PRECAUTIONS IN MARKET SWOON SITUATIONS

    Market swoon ki waja say sary sectors and businesses mandi ka shikar hoty hain is liye aisi situations main trading bhi mutasar hoti hay. Lehaza aisi situations main sab say behter yehi hota hay keh trading activities ko rok dia jaye aur market ki recovery ka wait karna chahiye. Q keh market yahan per itny jaldi nai sanbhalti aur bar bar musalsal worst conditions main jati rehti hay.

    Click image for larger version

Name:	gettyimages-1201449780-612x612.jpg
Views:	1
Size:	20.8 کلوبائٹ
ID:	12483933

اب آن لائن

Working...
X