Forex main kaamyaabi kay liey aik behtareen tool economic calendar hai. Economic calendar istemaal kar kay traders ko sahi pata lagta hay kay market kise khas simt main kun move kar rahi hai, aur es kay sath market kay baary main andaza bhe laga bhe lagaya ja sakta hai kay market ka agla move kesy hoga. Amoomi toor par market jo sab sy zaida economic data asar-andaaz hota hai us main GDP aur Non-Farm Payroll number weghra hain. Ye economic news matket par kafi zaida asar andaaz hoti hain aur behtareen trading opportunities faraham karti hain.
What to look for in economic calendar?
Experience traders daily basis par economic calendar ka mushahida karty hain aur us sy phir kisee currency pair par kesy trade karni hai ess baat ka andaza lagaya jaata hai. Traders hazraat news aany sey pehly hee ko anticipate karty hain aur jis currency pair ya cross pair par trading karna hoti hai us main entry lena start kar dety hain. Essy economic events sy long term main forex market ke direction ka pata chalta hay, forex markets sy muraad yeh hai kay jo currency kise makhsoos news sy jurri hoti hai uske simat ka taaiyun kiyaa jaa sakta hai.
Economic Calendar ko dekhny aur us ko maintain kary kay chand tareeky hain, lekin sab sy common aur mashoor tareeka yeh hai k jo online economic calendar platform mojood hain unko dekha jaay. Kun kay wo har cheez update rakhty hain aur sath sath aapko update karty hain. Esy calendar ko read karny kay liey jab aap dekhin gy to aapko date kay hisaab sy news nazar aa rahi hoti hai aur sath main country ka jhanda bhe nazar aata hay. Aik baat ko zehan main rakhna chahey kay mumaalik ke different influence hai global markets maslan ab USD dollar International currency hai aur poori duniya main istemaal kee jaate hai to uska asar almost har currency par hota hai.
Types of economic indicators
Leading Indicators: Leading indicators mustaqbil main hony waali tabdeeliyon ke taraf isharaa karty hain. Leading indicators short term predictions kay liey kafi mufeed hoty hain kunkay yeh indicators economy change hony sy pehly tabdeel hoty hain.
Lagging Indicators: Lagging indicators economy yabdeel hony kay baad aaty hain. Enka istemaal us wakat madadgaar hota hai jab koi confirm pattern kay liey kiya jaay. Lagging indicator directly economic change kay liey predict nahi karty hain.
Leading indicator ke aik misaal "Retail Sales" hay jab kay lagging indicator ke misaal "Unemployment Rate" hay. Es kay elawa Gross Domestic Product (GDP), Purchasing Manager Index (PMI), Consumer Price Index aur Home Sales weghra bhe bahut important indicators hain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим