Understanding Technical Analysis
Technical Analysis market price ko study karny ka naam hai jo price history pe mushtamil hota hay. Ye analysis ess liey kiey jaaty hain kay price pattern ke shanakht ke jaay aur mustaqbil main market ke harkat ke peshangoi ke jaay aur ess kay liey technical study, indicators aur dosry Analysis tools ka istemaal kiyaa jataa hai.
Technical analysis kay 2 maqsad hoty hain
1. Trend ko identify karna
2. Price charts use kar kay Support/Resistance ko identify karna
Market sirf 3 cheezin kar sakti hai: move up, move down, ya sideways
Market kabhi bhe direct oper ya neechy nahi jaati balkay aik wave bana kar zigzag tareeky sy jaayi hai jis kay nateejy main 2 cheezin jo sakti hain
Trend - Jab market up jaati hai ya down jaati hai aik he simt main
Range - Jab market sideways move karti hai
How to use technical analysis
Jesa kay aapko maloom hai kay matket ke direction kise ko bhe confirm maloom nahi hoti hai kay kis simt main jaay ge lekin price ke movement random nahi hoti. Markets main kuch patterns banty hain aur market unko follow karti hai. Jab aapko pata hota hai kay koi bhe predictions 100% nahi hoti aur market aapki against ja sakti hai to eska best tareeka ye hota hai kay aap kitna loss karty ho aur kitna us kay mukably main gain karty ho. Es main aapne dekhna hota hai kay aapki entry pe apko loss aur profit kitna ho sakta hai. Kahan par loss ko stop karna hai aur kahan par profit ko lock karna hai so apni risk reward ratio ko lazmi dehyaan main rakhin.
Es baat ko aik baar phir zehan nasheen kar lain kay aap har baar market ke correct prediction nahi kar sakty us kay liey aapko aik behtar strategy pe kaam karna hoga jo aapky account ko safe rakhy.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим