Forex trading mein bahut saare traders signals ke through apni trading karte hain lekin aaj Tak mujhe Kisi bhi trader ki taraf se yah dekhne mein nahin mila ke usne apne trade signal ko bilkul accurate kaha ho ya Kuch is tarah ka jyada profit etc hua Ho. maximum signal provider bi Ek andazy se kam karte hain aur unki accuracy almost weak hi rahti hai.agar koi 10 signal provide karta hai To unmen se 6 theek ho jaate Hain aur 4 wrong hote hain to bus es cheez ko vah log Apna credit samajhte Hain ki humari trades mn sy majority trade profit Dy rhi hn aur signal accuracy etc correct h jb k compare kia jay to itna profit trader khud bi bna leta h. Mere khyal mein hamen signals ke upar rely karne ke bajaye Khud trading ka experience hasil karna chahie taake Ham apni independent trading kar sake aur future mein bhi hamen Kisi ki taraf dekhna na pade aur Na Kisi ko signal ki payment karni pade. Aap log is bare mein kya suggest karte Hain
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим