Jesa k hum mn say bahut say log jantay hain k forex ki field aisi ha jis mn jitna ziyada risk lia jaye utna he profit ya loss ziyada hota ha lekin mera aik zaati experience jo ha ic hwalay say wo me share krna chau ga k thora risk lena faida mand hota ha ba nisbat high risk k kyun k high risk mn account k wash honay k chance ziyada hotay hain aur ap ka account wash ho janay k bad ap trading say out ho jatay hain aur phir pachtaway k siwa kuch hath nai ata..lekin gar thora risk lain to small profit k sath ahista ahista account grow krta ha aur equinty strong hoti jati ha to meray khayal say to new trader k leay bhi us k sath sath purnay traders k leay bhi yeh policy achi ha k wo kam risk k sath trade krain. Ap log bhi apnay comments share krain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим