Reverse strategy yeh hoti ha ke Ap ne daikha ho ga ke ap ko jab bhi koi opportunity milti hai ap us pe trade laga daity ho jiss taraf market ka ishara hota ha us taraf. Matlab ke agar market buy Jane ka ishara ker rahi hai tu ap buy kro ge. Laikin reverse strategy mein ap buy ki bajaye sell kro ge. Kiyon keh market mein yeh bahut kem hota ha ke ap jab signal ke mutabiq trade lagao tu wo jald hi move ker jaye. Ziada ter trade pehly loss mein chalti hai phir profit mein atti ha. Tu reverse strategy ke mutabiq ap market se wo kuch pips hasil ker laity ho aur jaldi exit ho jaty ho. Es tarha ap stoploss es ke liye tight rakhte ho ke agar market signal ke haq mein move kre tu ap ka ziada nuqsan na ho.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим