Profitable trading using money flow index (MFI)

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Profitable trading using money flow index (MFI)
    Profitable trading using money flow index (MFI)
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    MONEY FLOW INDEX INDICATOR
    INTRODUCTION Money Flow Index (MFI) ek technical indicator hai jo stock market ka use hota hai. Ye indicator market ki liquidity aur buying or selling pressure ko measure karta hai. FORMULA MFI ka formula ye hai: MFI = 100 - (100 / (1 + Money Flow Ratio)) Money Flow Ratio ko calculate karne ke liye, apko ye steps follow karne honge: Typical Price calculate karein: Typical Price = (High + Low + Close) / 3 Raw Money Flow calculate karein: Raw Money Flow = Typical Price x Volume Positive Money Flow aur Negative Money Flow calculate karein: Agar aaj ka Typical Price kal ke Typical Price se zyada hai, to us din ka Raw Money Flow Positive Money Flow hoga. Agar aaj ka Typical Price kal ke Typical Price se kam hai, to us din ka Raw Money Flow Negative Money Flow hoga. Money Flow Ratio calculate karein: Money Flow Ratio = (14-period Positive Money Flow) / (14-period Negative Money Flow) Jahan "14-period" ek time period hai jis mein ap Positive aur Negative Money Flow calculate karte hain. DEATILS MFI ko interpret karne ke liye, ye levels important hote hain: 80 se zyada: Overbought 20 se kam: Oversold Agar MFI apne historical average se zyada hai, to ye bullish signal hai. Agar MFI apne historical average se kam hai, to ye bearish signal hai. TRADING STRATEGY MFI (Money Flow Index) ka trading strategy aam taur par teen steps per mabni hota hai: Step 1: MFI ki samjh Sab se pehle, hamain MFI ki samajh honi chahiye. MFI ek technical indicator hai jo volume aur price action ko combine kar ke market trend aur momentum ka pata lagane mein madad deta hai. Agar MFI ki value 80 se zyada ho to market overbought (bahut zyada kharidaari) hai, aur agar value 20 se kam ho to market oversold (bahut zyada bechnaari) hai. Step 2: Trend ki talaash Agla qadam hai market trend ki talaash karna. Agar market uptrend mein hai to hum sirf buy karne ki sochen ge, aur agar market downtrend mein hai to hum sirf sell karne ki sochen ge. Hamain iske liye kisi bhi tarah ke trend following indicators ka istemal karna chahiye jaise MA (moving averages) aur trend lines. Step 3: Entry aur Exit ka faisla Akhir mein, hamain entry aur exit ka faisla karna hai. Agar market uptrend mein hai to hum MFI ki value 20 se kam hone par entry karen ge, aur MFI ki value 80 se zyada hone par exit karen ge. Agar market downtrend mein hai to hum MFI ki value 80 se zyada hone par entry karen ge, aur MFI ki value 20 se kam hone par exit karen ge. SUMMARY MFI ka trading strategy samjhne ke liye, iska istemal demo account par practice kar sakte hain. Is se apko market ke movement ke saath sahi entry aur exit ka faisla lena aasan ho jayega.
     
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Money Flow Index



      Financial market mein investors ki bajaye un ki investment ko ziada focus kia jata hai, matlab k financial markets ka iss baat se koi lena dena nahi hota, k kitne log iss waqat financial market mein involve hai, bulkeh iss baat pe ziada tawajoh rehti hai, k logo ki investment kitni hen. Iss nazreye ko mad-e-nazar rakh kar money flow index ka concept pesh howa.
      Money Flow Index (MFI) aik momentum oscillator ya indicator hai, jo trading dabao, khareed o farokht ki pemayesh karne ke liye time aur price dono ka analysis karta hai. MFI indicator ko Volume Weighted Relative Strength Index (RSI) bhi kaha jata hai, q k iss mein valum shaamil hota hai, lekin RSI ke bar-aks, jis mein sirf price ki analysis ki jati hai.
      Positive money flow ka bahao aam price mein izafay se zahir hota hai, jo buying pressure ka signal deta hai, jab ke aam price mein kami MFI negative pressure ki nishan-dahi karti hai, iss terhan selling pressure ka signal deti hai. Yeh positive aur negative flow ko money flow ratio ya money ratio k liye jama kya jata hai.
      Money ration ko MFI maloom karne ke liye istemaal kya jata hai, jo 0 aur 100 ke darmiyan ghoomta hai. Jaisa k MFI valum ko shaamil karta hai, is ka istemaal prices ki extreme aur mukhtalif signals k sath reversal jane ki shanakht k liye kya ja sakta hai.





      Formula for the Money Flow Index (MFI)



      Money Flow Index (MFI) ki calculation ko darjazel fomulas ki madad se calculate kia ja sakta hai;
      1. Compute the typical price for a period.


        Typical Price = (Low + High + Close) / 3
        • Agar aaj ki typical price kal se ziyada hai, to is ka matlab hai, k MFI positive hai. Lekin agar typical price kam hai, to iss ka matlab hai, k MFI negative hai. Makhsos time period ke dowran positive money positive money flow deti hai, aur makhsoos time period mein negative money negative money flow deti hai.
      2. Compute the raw money flow.


        Raw Money Flow = Volume x Typical Price
      3. Compute the money ratio.

        Money Ratio = 14-period Positive Money Flow / 14-period Negative Money Flow
      4. Compute the Money Flow Index (MFI).



      Money Flow Index (MFI) = 100 – [100 / (1 + Money Ratio)]



      Money Flow Index (MFI) Signals



      MFI indicator teen tarah k signals genrate karta hai, overbought/oversold conditions, failure swings, and divergences. In ki mazeed information darjazel hai;
      1. Overbought/Oversold Condition




        Agar MFI prices mein taizi se izafay ko high level par zahir karta hai, to security ko overbought move karna samjha jayega. Issi terhan, agar MFI price mein kaafi low level par taizi se kami ki nishandahi karta hai, to security ko oversold samjha jata hai. Overbought shuda aur oversold hui levels price ki extreme positions ko pehchanney mein helpful hote hen.
        Aam tor par, overbought condition uss waqat hoti hai, jab bhi MFI 80 se oopar ho, aur MFI 20 se kam ho to oversold position ki nishan-dahi karta hai. Prices mazeed upward rise kar sakta hai, jab bhi bullish trend mazboot ho, aur MFI 80 se ziyada increase sakta hai.
        Dosri taraf, MFI 20 se neechay ger sakta hai jab prices neechay ki taraf mazboot trend ki mojoodgi mein girty hen. Agar MFI 90 se oopar rise hota hai, to usay waqai overbought condition samjha jata hai, aur 10 se kam MFI ko waqai oversold honay wali condition samjha jata hai.
        Taham, MFI 90 se ziyada aur 10 se kam kabhi kabhaar hota hai aur yeh tajweez karta hai ke qeemat ki movement paidaar nahi hai. bohat si securities exchange market mein 90 / 10 k levels ki price ki extreme ko puhanche baghair trading karti hen.
      2. Divergence


        Divergence uss waqat hota hai jab price action ki movement aur MFI ki movement aik dosre k opposite direction main hon. Dono k darmeyan faraq ko new ane wale signal k tawar par dekha jata hai. Divergence ki do aqsaam hen;

        Bullish Money Flow Index (MFI) divergence



        Bullish MFI divergence uss waqat hota hai, jab price aik new low level par change ho jati hai, jabkay, MFI high low honay ki nishan-dahi karta hai, jo money k flow mein izafay ko zahir karta hai. Iss ka matlab hai, ke selling pressure kam ho raha hai, aur buyers market par qabza kar rahay hon ge. Yeh prices par securities buy karne ka aik achah mauqa faraham karta hai.

        Bearish Money Flow Index (MFI) divergence



        MFI bearish divergence uss waqat hota hai, jab price aik nainew high par change hoti hai, jabkay MFI lower high ki nishan-dahi karta hai. Yeh buying pressure mein kami aur sellers k liye market par qabza karne ke waqat ki nishan-dahi karta hai. Yeh sellers k liye munafe kamanay ka aik achah mauqa hota hai.
      3. Failure Swing



      Divergence ki terhan, failure swings ke nateejay mein price mein bhi tabdeeli ho sakti hai. Taham, failure swings ka inhisaar price par nahi hai aur mukammal tor par MFI par inhisaar karte hain. Failure swings ki do aqsaam hen, bullish aur bearish, jab k in dono aqsaam ko mazeed chaar marahil main taqseem kia jata hai;


      Bullish Money Flow Index (MFI) failure swing
      • Step 1: MFI decreases below 20 (oversold)
      • Step 2: MFI recovers and rises above 20
      • Step 3: MFI decreases but stays above 20
      • Step 4: MFI shoots above the previous high





      Bearish Money Flow Index (MFI) failure swing
      • Step 1: MFI increases above 80 (overbought)
      • Step 2: MFI drops below 80
      • Step 3: MFI slightly increases but stays below 80
      • Step 4: MFI drops below the previous low


      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Profitable Trading Using Money Flow Index (MFI)

        Agar aap forex ya stock trading kartay hain, toh aapko technical indicators ka acha ilam hona chahiye. Money Flow Index (MFI) aik ahem indicator hai jo volume aur price movement ko combine karta hai taake overbought aur oversold conditions ko identify kiya ja sake. Is article mein hum dekhein ge kay MFI ko kis tarah profitable trading ke liye use kiya ja sakta hai.



        Money Flow Index (MFI) Kya Hai?

        MFI aik momentum oscillator hai jo 0 se 100 ke darmiyan fluctuate karta hai. Yeh indicator price aur volume ka mix hota hai aur Relative Strength Index (RSI) ki tarah kaam karta hai, magar yeh volume factor ko bhi mad e nazar rakhta hai.


        MFI Ko Trading Mein Kaise Use Karen?

        1. Overbought Aur Oversold Zones

        Jab MFI 80 se upar chala jaye, toh market overbought hoti hai, aur selling ka signal milta hai.

        Jab MFI 20 se neeche ho, toh market oversold hoti hai, aur buying ka signal milta hai.

        2. Divergence Strategy

        Agar price upar ja rahi ho magar MFI neeche a raha ho, toh bearish divergence hoti hai, jo price drop ka signal deti hai.

        Agar price neeche ja rahi ho magar MFI upar ja raha ho, toh bullish divergence hoti hai, jo price rise ka indication deti hai.

        3. Breakout Confirmation

        MFI ka istemal support aur resistance levels ke sath kiya ja sakta hai taake breakout confirm ho sake. Agar price resistance today aur MFI bhi upar ho, toh strong buying opportunity hoti hai.
        Money Flow Index aik powerful indicator hai jo traders ko price trends aur reversal points samajhnay mein madad deta hai. Isko RSI aur MACD ke sath mila kar trading strategy aur bhi behtareen banayi ja sakti hai. Best results ke liye MFI ko sirf aik indicator per depend na karein, balki isay doosray tools ke sath combine karein.

        اب آن لائن

        Working...
        X