Hanging Man Candlestick Pattern.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Hanging Man Candlestick Pattern.
    Hanging Man Candlestick Pattern.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Introduction to Hanging Man Candlestick Pattern. Hanging Man Candlestick charts pattern , jo k aik popular technical analysis tool hai, traders ko market trends, price movement, aur future price predictions ke liye madad dete hain. Candlestick charts mein candlestick patterns ki tarah kuch specific price patterns bhi hotay hain jin ki help se traders ko price direction ka idea milta hai.Hanging Man Candlestick Pattern, jiska name apne aap mein bhi descriptive hai, bearish reversal candlestick pattern hai jo ki uptrend ke baad nazar ata hai. Ye pattern hanging man ki tarah nazar ata hai jis mein aik lambi body aur choti wick hoti hai. Hanging Man Candlestick Pattern Formation. Hanging Man Candlestick Pattern, bullish trend ke baad aik single candlestick se banata hai. Hanging Man ki body generally green or white hoti hai, jiski length kam az kam 2-3 times uski wick se ziada hoti hai. Wick hanging man ki body se neechay hoti hai aur iski length lambi hoti hai. Hanging Man Candlestick Pattern's Explanation. Hanging Man Candlestick Pattern, bearish reversal signal hai jis ki wajah se traders ko price action ki reversal ki expectation hoti hai. Agar ye pattern sahi tarah se identify kiya jaye to ye traders ko next candlestick movement ka idea bhi deti hai.Is pattern mein hanging man ki body generally bullish trend ke end ke baad nazar ata hai jiska matlab hai ke buyers ki power decrease hogayi hai aur selling pressure increase hogi. Jab ye pattern confirm hota hai, to iska signal bearish trend ki shuruat ka bhi hota hai. Use of Hanging Man Candlestick Pattern. Hanging Man Candlestick Pattern ka istemaal traders apni trading strategies mein shamil karte hain. Agar is pattern ko sahi tarah se identify kiya jaye to ye traders ko apni positions ko close karne aur short positions lenay ki advice deti hai.Traders aksar is pattern ke saath confirmatory indicators bhi use karte hain jaise ki volume, moving averages, aur trend lines. Jab ye indicators is pattern ke saath sahi se align hojatay hain, to traders ko strong sell signal milta hai. Hanging Man Candlestick Pattern Kee Limitations. Hanging Man Candlestick Pattern ke bawajood, iski limitations bhi hoti hain. Ye pattern sahi tarah se identify karna difficult ho sakta hai. Iski wick ka size bhi is pattern ko sahi se identify karne mein helpful ho sakta hai.Is he tarah, is pattern ke saath confirmatory indicators ki bhi zaroorat hoti hai taakay traders ko sahi sell signal mil sake. Final Statement. Hanging Man Candlestick Pattern aik bearish reversal signal hai jo traders ko apni trading strategies mein shamil karte hain. Is pattern ki sahi identification aur confirmatory indicators ke saath use se traders ko sahi sell signal milta hai. Iski limitations ke bawajood, hanging man candlestick pattern traders ke liye important technical analysis tool hai.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Hanging Man Candlestick
      Hanging man pattern ka name iske appearance se derived hai, jismein ek small real body, jo ki green or red color mein ho sakta hai, aur long lower shadow hota hai. Hanging man candle aik single candle pattern hone ki waja se sab se simple candle pattern hai, jo price chart par aik small upper body k lower side par aik lambey shadow k sath hoti hai. Price chart par aik hi candle ko analysis k leye aur trading k leye istemal kia jata hai, to ye sab se simple candle pattern main shamil hota hai, jiss main aik wahid candlestick buy aur sell ke waqt ki nishan-dahi karti hai. Single candlestick pattern new traders ya un traders k leye ziada pur-kashish hai, jo abhi candlestick k bare main information hasil karte hen, q k iss main ziada pecheedgeyan nahi hoti hai. Hanging man candle iss silsele main bohut information deti hai, jiase traders analysis k dowran bearish trend reversal k leye istemal karte hen.
      Candles Formation
      Hanging man candlestick k leye prices k top trend ya bullish trend main hona zarori hai, jab k ye candle bullish trend main akhari candle honi chaheye, jiss ki small real body k sath lower side par aik lamba saya hota hai. Candle ki price chart par darjazel tarah se formation hoti hai; Hanging Man Candle: [/COLOR] Hanging man candlestick aik small real body wali long lower shadow ki candle hoti hai. Ye candle prices k top par banti hai, jiss se market mumkina tawar par trend tabdeel karti hai. Normal price chart par ye candle aik neutral candle hi tasawar hogi, sewaye prices k top par banne k, jahan prices ki supply bohut zyada increase ho chuki hoti hai.
      Explanation
      Hanging man candlestick price chart k sab se top ya low price area main paya jata hai. Ye candle aik strong bearish trend reversal ka indication deta hai, jab bhi prices bullish trend main trade kar rahi hoti hai. Ye candle upper side par aik small real body k sath hoti hai, jiss se k lower side par aik lamba shadow hota hai. Candle k upper side par shadow nahi hona chaheye, lekin bohut small si wick ban jaye to bhi ye candle hanging man hi shumar ki jayegi. Price chart par bullish trend k dowran jab sellers prices ko downward push karte hen, lekin dosri taraf buying pressure se prices jab wapis upper rise hoti hai, to uss sorat main ye candle tashkeel pati hai.
      Trading
      Hanging man candlestick par trading bhi sab se easy hai, jiss ko analysis main long timeframe k dowran istemal kia ja sakta hai. Candle k bullish ya high prices area main banne k baad jab candle k baad aik bearish confirmation candle ban jaye aur wo hanging man candle k bottom par close ho jaye to iss se market ka current bearish trend confirm ho jata hai. Jab k candle k baad bullish candle banne par market main trade entry nahi karni chaheye. Trend confirmation indicator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main honi chaheye. Jab k single candle pattern par stop loss ka istemal zaror karna chaheye. Candle par Stop Loss sab se upper area ya candle k high price se two pips above set kia ja sakta hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X