Bearish Harami Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Harami Candlestick Pattern
    Bearish Harami Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Harami Candlestick Pattern
    Bearish harami candlestick pattern prices k top main banta hai, jahan par buyers ki ziada buying ki waja se market main bohut high area main trade kar rahi hote hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle ziada buying ki waja se bari white candle hoti hai. Pattern ki dosri candle aik small real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main banti hai, yanni iss candle ka open aur close dono pehli candle k andar hote hen. Pattern ki dosri candle lazmi aik to bearish honi chaheye aur dosra ye candle real body main bhi small honi chaheye.
    Candles Formation
    Bearish harami candlestick pattern two days candles par mushtamil hota hai, jo k bearish trend k baad prices ko bearish trend reversal main tabdeel karte hen. Ye pattern prices k top main banne par ziada asar dekhata hai, jiss main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai; 1. First Candle: Bearish harami candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices main maojood bullish trend ki alamat hoti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jiss ki aik long real body hoti hai. Bullish candle buyers ki mazboti dekhati hai. 2. Second Candle: Bearish harami candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, lekin ye candle aik small real body main hoti hai. Ye candle aik to bearish candle hoti hai, dosra ye candle pehli candle k andar open aur close hoti hai. Dosri candle ki real body black ya red color main hoti hai, jo k bullish trend reversal ka sabab banti hai.
    Explanation Bearish harami candlestick pattern price chart par buying k baad prices k top ya bullish trend k baad banne par brearish trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern dekhne main descending hawk pattern se melta julta hai, lekin dosri candle ki color ya format change hone ki waja se ye pattern uss se mukhtalif dekhta hai. Pattern two days ka mukhtalif colours par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k long real body main banti hai. Pattern ki dosri candle aik small real body main hoti hai, lekin ye candle bearish candle bhi hoti hai aur pehli candle k andar open aur close bhi hoti hai. Dosri candle ka open aur close same point par nahi hona chaheye, warna ye pattern bearish harami cross pattern ban sakta hai. Trading
    Bearish harami candlestick pattern par market main traders k leye sell k signals hote hen. Pattern par trading se pehle market main prices ka high area ya bullish trend main hona chaheye, jab k pattern k baad aik bearish confirmation candle ka hona bhi zarori hai. Pattern ki trend confirmation technical indicators jaise CCI aur Stochastics oscillator se bhi ki ja sakti hai, jo k overbought zonr main hona chaheye. Pattern k baad bullish ya white candle k baane se pattern par trading se ihtiat karen, q k prices trade k bar akas bhi move kar sakti hai. Stop Loss pattern k leye zarori hai, jo k pattern k sab se highest ya pehli candle k top price se two pips above set karna chaheye.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X