what is a bullish rectangle chart pattren
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    what is a bullish rectangle chart pattren
    what is a bullish rectangle chart pattren
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    what is a bullish rectangle chart pattren Bullish rectangle pattern forex mein aik bullish trend continuation pattern hai Yeh aik chart pattern hai jisy traders price action analysi mein use krty hain Bullish rectangle pattern ka matlab hota hai k market mein buying pressure zyada hai or price side ways trend mein hai jis sy aik rectangle shape banti hai Is pattern k bech mein price ko support level ke nears test kiya jata hai jahan sy price bounce back kar sakta hai or phir upar ki taraf move kar sakta hai Is pattern ko identify krny k liye traders support or resistance lines draw krty hain Support line draw krny k liye low points ko connect kiya jata hai or resistance line draw krny k liye high points ko connect kiya jata hai Rectangle shape bnany k liye support or resistance level k bech mein price move krta hai Jab price rectangle k upar jata hai to yeh aik bullish signal hai or traders ko long positions lena chahiye Stop loss level ko support level k below rakha ja sakta hai or target price resistance level k nears rakha ja sakta hai How to Identify bullish rectaangle pattren Bullish rectangle pattern aik technical analysis chart pattern hai jo kisi bhi stock ya financial asset ki price mein uptrend ki continuation ka potential indicate kar sakta hai Yeh pattern chart analysis mein istemal kiya jata hai Or ye Pattern uptrend k baad banta hai Price sideways trading range mein consolidate hony lagti hai jis mein parallel support or resistance levels ban jaty hain Pattern kam sy kam chaar hafty tak ka hona chahiye period ke duran trading volume uptrend k duran s kam hona chahiye Pattern tab confirm hota hai jab price resistance level sy break out kar k upar jaata hai jis sy uptrend ki continuation ka potential signal milta hai How To Trade With bullish rectaangle pattren traders assets ki price movement ke trends or possible entry or exit points ka pata lgany k liye istemal krty hain Yahaan kuch tips hain jo aapke liye helpful ho sakti hain 1.Confirm the pattern: Sabse pehle aap ko bullish rectangle pattern ko confirm krna hoga Iske liye aap ko price action or volume k sath resistance level k breakout ka wait karna hoga 2.Entry point: Jab pattern confirm ho jata hai tab aap ko entry point ki tlash karni hogi Aap ko entry point ko support level ke kareeb rakhna chahiye jis sy aap ko loss ko minimize krny ka moka miley 3.Stop loss: Stop loss ki position set krna bahut important hai taki aap ko loss ko control krny ka mauka mil sky Aap ko stop loss ko support level ke nichy rakhna chahiye jis sy loss ko minimum kiya ja saky 4.Target price: Aapko aik target price ka rkhna chahiy jis sy aap k trade sy expected profit margin pata chal sky Iske liye aap ko previous uptrend ki length or volume ko consider karna chahiye 5.Risk management: Trading mein risk management bohat important hota hai isliye aap ko apni trading plan mein risk ko manage karny ke liye aik strategy bnana chahiye
     

    اب آن لائن

    Working...
    X