Topic: "Mobile phone ka istimal"
Aaj ka zamana science taraqi ka zamana hai. Science ki taraqi or nit naye ejadaat ny is zameen ko janat e arzi banani main koi kasar nasi chore. Ya science ki taraqi sirf or airf ilam ki badolat hai; balki ya kehna be jaa na hoga k insan ko ashraf ul makhloqat ka sharf ilam ki badolat hasil howa hai. Insan ny apny ilam ko baroy kar la kar nit naye ejadaat ki hai; har ejaad apni jaga heraankun or mufeed tar hai; lakin mobile phone ki ejaad ny insani zindagi main inqelaab barpa kia hai. Is mufeed ejaad ny insan ko insan k qareeb lany main bohut eham kirdar ada kia hai.
Mobile phone k istimal ny hazaron lakho meel k faslon ko samait kar rakh diya hai. Kisi bhi jaga kahi bhi baat karni ho bas number milai or baat shoro kary. Esa lagta hai jesy mobile phone par baat karny wala paas hai. Nit naye ejaad ny to waqi main dunya ko global village badiya hai. Ab to market main naye or jadeed mobiles aa chuky hai jis main internet k ealawa be shumar social sites mujood hai.
Mobile phone ka sab sy bara faida ya hai k aap isy ghar k andar bahir, daftar, khel k medan gharaz ya k har jaga istimal kar sakty hai. Chunky ya wireless phone sy mazeed agly marhaly ka jadeed aala hai, safar k doran mobile phone ka istimal ek buhot bari naimat hai magar driving k duran is k istimal mai ehtiyat zarori hai. Whatsapp k zariye videos or tasaver ki tarseel ka silsila bhi jari hogaya hai. Aaj kal mobile companion ki taraf sy sasty call, data, messages packages ki badolat mobile phone entihai mufeed or eham zarorat ban chuka hai.
Guzishta ek arsy sy mobile k istimal mai buhot izafa dekhny main aya hai.
Mobile k jahan beshumar faidy hai wahan chan ek nuksanat bhi hai, paisy ka ziya bhi hai, students ka taleem ki taraf rujhan bhi is mobile ki wajah sy kam horaha hai, wo students jenhy taleemi medan main ek dosray say aagy barny k liye sakht mehnat ki zarorat thi aaj wo mobile k imtihan ki doar main masroof hai. Jis ko dekho mobile phone par nazar jamai betha hota hai. Aaj kal mobile ik fashion ban chuka hai. Har koi mobile phone ko jaib main rakhny k elawa is ki nomaish karta hai.
Chahy is ki zarorat ho ya na ho lakin fashion k chakar main mehangy mobile khareed kar paisy ka ziya or israaf ka silsila jari hai.
Mobile ka be jaa istimaal nuqsan da hai. Aaj kal to log ik sy ziyada mobile rakhty hai, bachy bary musalsal mobile par games khel kar or social media k sites par be tahasha waqat ka ziya kar rahy hain. Aaj kal mobile ko dosron ko tang karny ka zariya bhi banaya gaya hai. Is liye zarorat is amar ki hai k ejaad koi bhi ho agar hum is k aachy pehli par nazar rakhy to wo mufeed sabit ho sakti hai. Har chez ka ghalat istimal is ko nuqsan da banata hai. Is liye mobile ko hamesha musbat maqasid k liye istimal kary. Or tehqeq k medan main is say faida uthai. Degar be sod istimal or waqat k ziya sy students ejtinab kary. Mobile phone k musalsal or ghalat istimal k sabab apna taleemi nuqsan kar rahy hai.
Hamian chahiyan k mobile samait tamam ejadaat ka musbat istimal kary.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим